Thursday, November 12, 2015

Monday, March 10, 2014

Yeh payam day gai hai mujhay baad-e-subh-gaahi




Poet: Dr. Muhammad Iqbal, Presented by: Shafqat Amanat Ali Khan

Yeh payam day gai hay mujhay baad-e-subh-gaahi,
Keh khudi kay aashiqon ka hay maqam padshaahi

Teri zindagi isi say, teri aabroo isi say,
Jo rahi khudi tou shahi, na rahi tou roo-siyaahi

Na diya nishan-e-manzil, mujhay aay hakeem tu nay,
Mujhay kia gilah ho tujh say, tu na rah nasheen, na raahi

Tu huma ka hay shikari, abhi ibtida hai teri,
Nahin maslihat say khali, yeh jahan-e-murgh-o-maahi

Tu Arab ho ya Ajam ho, tera "La-ilaha-illah",
Lughat-e-ghareeb jab tak, teri dil na day gawaahi

All compilations on this blog have been done in good faith and from publicly available media sources. If you have any related copyright information, please contact me at saleem.toor@gmail.com for removal.